Wednesday, August 16, 2006

Main Hun Pakistani

Ajj subha main walk karne nikla
chalta ja raha tha keh manzar dekh kar dil mera pighla
kachre ke dabe main kuch hara nazar aaya
paas ja ke dekhla to jhande ka sira nikal aaya
2 din pehle jasahan aazadi hamne bahut josh kharosh se manaya
2 din ke bad jhanda phenkne ka din aaya
uthayi sari jhandian , uthaya sara jahnda
phenk daya kachre main keh lage hameen aab ye ganda
kuch der dekha main ne use aur mere dil main kahayal aaya
kia uthayun use keh dekhayun begangi
Chal daya aage main kiyun ke main bhi hun eek Proud Pakistani

Behta Darya

Mere ghar ke bahar hai eek behta darya
gatar ka pani , pighalde jo sarya
behta jaye wo pichli gali se
behta jaye wo agli gali tak
Jab kabhi barish hye
is darya mai Uthao aaye ,
hr dam har eek ke dil main yeh sawal aaye
aaye o bhangi kab to aaye
aur is draya ka mun shut karaye

Main Kon Hun

Main Kon Hun
Main hun eek Insan
Jis ke kaye kirdar
kabhi baap , kabhi shohar kabhi beta farman bardar
mere aur bhi hain kirdar
kabhi mazdoor kabhi sardar
aaj se shuru karta hun main apni dastan
lafzoon bhari aapbeti koi to sune meri zuban